Kiya Ishq Tha

From:- Mani Ali

Kiya ishq Tha Jo Bais-e-Ruswai Bun Gya,
Tmam Sheher He Tmashai Bun Gya..!
Bin Mangey Mil Gye Meri Aankho Ko Rtt-Jggey,
Mein Jab Se Aik Chand Ka Shedai Bun Gya..!

Dekha Jo Us Ka Dast-e-Hina Kreeb Se,
Ehsas… Goonjti Hui Shehnai Bun Gya..!
Brhum Huwa Tha Meri Kisi Baat Pe Koi,
Wo Hadsa He Wjjh-e-Shnasai Bun Gya..!

Krta Rha Jo Roz Mujhy Us Se Bad-Guman,
Wo Shakhs B Ab Us Ka Tmanai Bun Gya..!
Wo Teri B To Pehli Mohabat na Thi… MANI,
Phir Kya Huwa Agr KOI Herjai Bun Gya. !!

If you like this shayari, Please like and share on Facebook

 
   

Please Like MailShayari on Facebook

Mail Shayari on Facebook

Leave a Reply

*