From:- Sikandar Khan
Woh Bujha Bujha Sa Charag Tha Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin,
Usay Lay Gae Kahan Hawa Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin..!
Bahut Log Jaein Ge Mere Qatil Ki Talash Mein,
Mere Qatal Mein Kis Ka Hath Tha” Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin..!
Woh Tamam Dunia K Waste Jo Mohabton Ki Misaal Tha,
Wohi Apne Ghar Mein Tha Bewafa Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin..!
Kahin Masjidon Mein Shahadtain Kahin Mandron Mein Adaaltain,
Yahan Kon Karta Hai Faisly Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin..!
Mere Pass Jitni Hai Roshni Hai Yahi Charag Ki Zindagi,
Main Kahan Jala” Main Kahan Bujha”Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin..!
Mujhe Jaan Kar Koi Ajnabi Woh Phira Rahy Hain Gali Gali,
Esi Shehar Mein Tha” MERA GHAR” Yeh Kabhi Kisi Ko Khabar Nahin !