Haar Jata Hoon

From:- Sikandar Khan

Kisi Se Piyar Karta Hoon To Hamesha Haar Jata Hoon,
Main Jitni Baar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon..!

Kabhi Sham Se Pehle Kisi Jana Ki Aankhon Se,
Yeh Ankhein Chaar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon..!

Kabhi Kisi Mehfil mein Wafa Ki Guftugu Par Main,
Jab Takraar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon..!

Nigahon Mein Doosron Se Bazi Jeet Jata Hoon,
Toh Jab Izhaar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon..!

Keh Shayed Is Dafa Koi Mujhe Apna Bana Le Ga,
Hamesha Pyiar Karta Hoon Hamesha Haar Jata Hoon !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.