Banwara Man

From:- Saba Sagar

Banwara man aise dharka na tha,
Sholah kabhi aise bharka na tha..!
Is qadar mehrban ho gaya jaan_e_jaan,
Yun kabhi pahle socha na tha..!

Jafaoon ka gham tha,
Yeh aanchal bhi nam tha,
Bari hi majboor har aas thi..!

Woh aye to chaye,
Muradoon k saye,
Piya ko bhi piyar ki piyas thi..!

Istara woh mile,
Mitt gaee sab gile,
Jaise koy bhi shikwa na tha..!

Woh lamhye the aise,
Baharoon main jaise..
Lage hoon male kisi gaoun main,
Jo sapnon main khoi..

To aa pouncha koy,
Sajane jhanjan mere paoun main,
Yehi to tha wohi,
Jis ne pahle kabhi,
Piyar se muj ko dekha na tha..!

Kaharoon ki toil,
Uthayeen gi doli,
Bajeen gi sansoon main shahnaiyaan..!

Sunaeen gi rateen,
Umangoon ki bateen,
Sajeen gi yun meri tanhaiyaan..!

Khub ho ga maza,
Woh bane ga mera,
Jo kabhi pahle mera na tha..!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.