Ujale Apni Yadoon Ke

From:- Saba Sagar

Hamara dil sawere ka sunahra jaam ho jaye,
Charagoon ki tara aankheen jaleen..
Jab sham ho jaye..!

Kabhi to aasman se chand utre jaam ho jaye,
Tumare naam ki ek khubsurat sham ho jaye..!

Ajab hallat the yun dil ka soda ho gaya akhir,
Mohabbat ki haweli jis tara nilaam ho jaye..!

Samandar k safar main istara awaaz de ham ko,
Hawaeen teez hoon aur..
Kashtiyon main sham ho jaye..!

Mujhye maloom hai us ka thikana phir kahan hoga,
Parenda aasman choune main jab nakaam ho jaye..!

Ujale apni yadoon k hamare sath rahne do,
Najane kis gali main zindagi ki sham ho jaye..!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.