Intezaar Zindagi Ka

Aapki Raah, kabhi aapki nishaniyaan dekhi,
Kya batayein humne kitni tanhaiyan dekhi!
Suna hai, bas gaya hai woh, kisi aur ka ghar basa ke,
Humne ab tak umr mein,sirf, chaar deewarein hi dekhi!
Har intzaar toh ab, khauf-e-kazaa lagta hai,
Jeeye is tarah, mano, zindagi hi nahin dekhi!

Unpe ik nazar se, har roz din nikalta hai,
Unki aankhon mein, apni sehar nahin dekhi!
Is raah ki manzil ka, koi thikaana nahin,
Jis taraf bhi chal diye, apni awargi dekhi!
Katron mein guzarti hai, har shaam aaj-kal,
khud ka khayal na raha, aisi bekhudi dekhi!
Jiska kuchh gila nahin, uska rona bhi kaisa huzoor,
Chaaron mausam gaye, phir bhi baarishein dekhi!!

Author: ash

Leave a Reply

Your email address will not be published.