Kuch Is Tarha

From:- Mani Ali, Rawalpindi, Pakistan

Kuch is tarha usey pyar karna parrta hai, 
Ke apne aap ko deewar karna parrta hai…!
Kabhi kabhi to wo itna kareeb hota hai,
Ke apne aap ko deewar karna parrta hai…!

KHUDA ne atta ki hai wo maseehai,
Ke khud ko jaan k bemar krna prrta hai…!
Wafa ki raah mein dushwariya to aati hain, 
Par wafa ki raah ko humwaar karna parrta hai…!

Wo hath rakh ke mere dil pe jab puchta hai, 
to mujh ko dard se Inkar karna parrta hai…!!..!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.