Yaad Aane Wale Se Keh De Koi

From:- Saba Sagar

Bhulne wale se koi keh de zara,
Istara yaad aney se kiya faida..
Jab mere dil ki duniya basatey naheen,
Phir khayaloon main aney se kiya faida..!

Chaar din k jalaney se kiya mil geya,
Mitt saka na zamaney se mera nishaan..
Muj pe bijli gerao to jane sahi,
Aashiyaan pe gerane se kiya faida..!

Tue ne musa ko nahaq taklif de,
Lutf ata agar yaad kartey hameen..
Jin ki nazroon man taab_e_nazara naheen,
Un ko jalwa dekhaney se kiya faida..!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.