Tasbeeh E Mohabbat

From:- Sikandar Khan

Mukammal do he daano par..
Ye TASBEEH-E-MUHABBAT hai,
Jo aaye teesra daana Ye dori toot jaati hai…!

Mutayyan waqt hota hai Mohabbat ki namaazon ka,
Adaa jin ki nikal jaaye Qaza bhi chhoot jati hai…!

Mohabbat ki namazon mein imaamat AIK ko sounpain,
Isay takny usy takny se niyyat toot jaati hai…!

Mohabbat dil ka SAJDA hai Jo hai TOUHEED par qaim,
Nazar k SHIRK waalon se Mohabbat rooth jaati hai !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.