From:- Sikandar Khan
Ab K Tajdeed-E-Wafa Ka Nahi Imkaa’n Jana’n,
Yaad Kya Tujh Ko Dilaein Tera Pemaa’n Jana’n..!
Yunhi Mosam Ki Adaa Dekh K Yaad Aaya Hai,
Kis Qadar Jald Badal Jaty Hain Insaa’n Jana’n..!
Zindgi Teri Ataa Thi So Tere Naam Ki Hai,
Hum Ne Jese Bhi Basar Ki Tera Ehsaa’n Jana’n..!
Dil Ye Kehta Hai Keh” Shayed Afasurda Ho Tu Bhi,
Dil Ki Kya Baat Karein Dil To Hai Nadaa’n Jana’n..!
Muddaton Se Yahi Aalam Na Tawaqqo” Na Umeed,
Dil Pukary He Chala Jata Hai Jana’n Jana’n..!
Hum Bhi Kya Saada Thy Hum Ne Bhi Samajh Rakha Tha,
Gham-E-Dora’n Se Juda Hai Gham-E-Jana”n Jana’n..!
Ab K Kuchh Aiesi Saji Mehfil-e-Yaraa’n Jana’n,
Sar Ba-zanu Hai Koi Sar Ba-Gireba’n Jana’n..!
Har Koi Apni He Aawaz Se Kanp Uthta Hai,
Har Koi Apny He Saye Se Hirasa’n Jana’n..!
Jis Ko Dekho Wohi Zanjeer Pa Lagta Hai,
Shehar K Shehar Huy Dakhil-e-Zinda’n Jana’n..!
Ab Tera Zikr Bhi Shayed He Ghazal Mien Aaye,
Aor Se Aor Huy Dard K Unwaa’n Jana’n..!
Hum Keh” Roothi Hui Rut Ko Bhi Mana Lete Thy,
Hum Ne Dekha He Na Tha Mosam-E-Hijra’n Janan..!
Hosh Aaya To Sabhi Khuwab Thy REZA REZA,
Jese Urrty Huy Aoraaq Pareshan Janan !!