From:- Sikandar Khan
Sakoot-e-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chali Jana,
Ya Phir Sargoshiyan Dil Ki Suna Do Phir Chali Jana..!
Jo Mera Aur Tumhara Waqat Guzra Hansne Rone Mein,
Usy Poori Tarha Se Tum Bhula Do Phir Chali Jana..!
Ye Sare Pairr Podhe Tum Bin Kaie Raatain Jage Hain,
Tum Aa K Ek Baar In Ko Sula Do Phir Chali Jana..!
Kisi Ko Chahny Ka Aor Kisi Se Chahe Jane Ka,
Jo Hai Ehsaas Tum Us Ko Bhula Do Phir Chali Jana..!
Bus Ik Murda Hansi Se Apny Ashkon Ko Chupane Ka,
Jo Fun Aata Hai Tum Ko” Wo Sikha Do Phir Chali Jana..!
Wo Jo Ik Lafz-e-Ulfat Hai” Juda hai Apny Maani se,
Bus In Alfaz-o-Maani Ko Mila Do Phir Chali Jana..!
Jo Kehty Kehty Ruk Gayei” Un Sari Baton Ki,
Sama‘ait Ko Talab Hai Wo Suna Do Phir Chali Jana..!
Na Jane Kiun Hai Lekin Dekhne ki Tum Ko Aadat Hai,
Meri Ye Be-waja Aadat Chhuda Do Phir Chali Jana !