Khasara He Khasara

From:- Sikandar Khan

Ajab Uljan Bhary Din Hain” Waja Jani Nahin Jati,
Humari Be-Krari” Un Ki Hiraani Nahin Jati..!

Kabhi Tareek Goshon Se Suni Thi ik Sadaa Hum Ne,
Hui Muddat Magar Dil Se Pareshani Nahin Jati..!

Bharhi Basti Mein Bhi Halaat Kharabi Se Nahin Kamtar,
Hamary Ghar Se Aakhir Kiun Ye Veerani Nahin Jati..!

Akela Hoon Yahan Mere Siva Koi Nahi Rehta,
Yahan Tanhaiyon R Rukh Se Tabaani Nahin Jati..!

Khasara He Khasara Apny Hissy Mein Chala Aaya,
Kabhi Taqdeer K Qatib Ki Man-mani Nahin Jati..!

Lipat Kar Phool Se Roti Rahi Titli Bagheechy Mein,
Shikayt Thi Keh Rang-O-Bu Se Uryani Nahin Jati..!

Panaahain Magny Waly Musalsal Barh Gay” Lekin,
Mahhal K Band Darwazon Se Arzaani Nahin Jati..!

Na Jany Kon Si Mitti Se Rab in Ko Banata Hai,
Faqiri Mein Bhi Mazdooron Ki Sultani Nahin Jati..!

Humari Chashmy-tar Pe Rakh Geya Hai Waqat Woh Chashma,
Bahut Jani Hui Surat Bhi Pehchani Nahin Jati..!

Micholi K Liye Us Ne Kabhi Aankhon Pe Bandhi Thi,
Mere Khuwabon Se Ab Tak Woh Chunar Dhani Nahin Jati..!

Humary Aaj Se Behtar Naie Naslon Ka Kal Ho Ga,
Bhaly Na-Saaz Hoon Halaat Imkaani Nahin Jati..!

Abhi Din Raat Hain Pal Pal Farozaan” Dhairon YaAdon Se,
Akela Chhor Kar Mujh Ko Ye Tugiyani Nahin Jati..!

Usy Kab Hosh Hai Es Ka Kahan Dil Rakh Diya Le Kar,
Sitamgar Ki Muhabbat Mein Bhi Naadani Nahin Jati..!

Mere Khuwabon K Sehra Mein Chaly Aao” Chaly Aao,
Bara Purkaif Aalam Hai Keh” Laasani Nahin Jati..!

Kabhi Hai MEER Ka Pehlu” Kabhi GALIB Mehkaty Hain,
Ziyada Door Ghazlon Se Nigh-E-Baani Nahin Jati !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.