Dard Agar Khud Hi Dawa Dene Lage

From:- Ahsan Jawaid

Hijar Ki Shab Naalaa-E-Dil Wo Sada Deney Lagey,
Sunney Waale Raat Katne Ki Dua Deney Lage..!

Kis Nazar Se Aap Ne Dekha Dil-E-Majrooh Ko,
Zakhm Jo Kuchh Bhar Chaley..
The Phir Hawa Deney Lagey..!

Baaghbaan Ne Aag Di Jab Aashiyaney Ko Merey,
Jin Pe Takiya Tha Wohi Pattey Hawa Deney Lagey..!

Mutthiyon Mein Khaak Le Kar Dost Aaye Waqt-E-Dafan,
Zindagi Bhar Ki Mohabbat Ka Sila Deney Lagey..!

Aaina Ho Jaaye Mera Ishq Un K Husn Ka,
Kya Maza Ho Dard Agar Khud Hi Dawa Deney Lagey !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.