Bahot tanha sa hoon mujhko bhi koi dost chahiye,
Jo dil ka haal sun le aur mujhko waqt de sake.
Meri ghazaloN ko na sirf sunta rahe muskuraa ke jo,
Wo in ghazal me chupe dard ko pahchaan bhii sake.
Guzar gaya wo zamaana jab apne dost they kaii,
Ab to bas ham Hain aur saath me ek shaam hai tanhaa.
Guzarte waqt ki tasweer jab bhi dekhat hoon main,
To khush hota hoon jab saath sabhi rishte naate the.
Magar wo daur ab badal chukaa hai kyaa bataaiye,
Na dost sath hain na bahan bhai na hi maa baap hain.
Jo rah gayaa hai to bas zindagi ke daav pech hain,
Inhi rasmo rawaayton me tham gai hai zindagi.
Faqat ab rozgaar hai aur uski jaddo jahad,
Na koi dost sath hai na koi gham gusaar hai.
By Unknown