Maafi Mangne Wali Shayari

Is kadar humari chahat ka imtihaan na lijiye,
Kyon ho khafa ye bayan to kijiye..
Kar dijiye maaf agar ho gayi koi khata,
Yun yaad na kar ke saza to na dijiye..!!

*****************************
Dil se tera Khayal na jaaye to main kya karoon,
Tu hi bata tu yaad bahot aaye to main kya karoo?
Hasrat ye hai ke ek nazar dekhloon tuzhko,
Magar Qismat wo lamha na laaye to main Kya karoo???

*****************************
Kaise manaye tumko ye nahi jante,
Iss Dard-e-dil ko mere dawa de do !
Nahi karenge koi bhul ab kasam se,
Ae mere yaar Hamko tum Maafi de do !!

Author: ShineMagic

1 thought on “Maafi Mangne Wali Shayari

Leave a Reply

Your email address will not be published.