Aankho Main Raha Dil Main Utar Kar Nahi Dekha
Kashti K Musafir Ne Samunder Nahi Dekha,
Be Waqt Agar Jaaon Ga Sab Chonk Parenge
Ek Umar Howi Din Main Kabhi Ghar Nahi Dekha,
Jsi Din Se Chala Hoon Meri Manzil Pe Nazar Hai
Aankho Ne Kabhi Mail Ka Ka Pathar Nahi Dekha,
Yeh Phool Mujhe Waraasat Main Mile Hain
Tum Ne Mera Kaanton Bhara Bistar Nahi Dekha,
Yaroon Ki Muhabat Ka Yaqeen Kar Liya Maine
Phoolon Main Chopa Howa Khanjar Nahi Dekha,
Mehboob ka Ghar Ho K Bazurgo Ki Zameen
Jo Chor Diya, Pher Use Mur Kar Nahi Dekha,
Khat Aysa Likha K Naghene Se Jare Hain
In Hatho Ne Laykin Koi Zewar nahi Dekha,
Patahr Mujhe Kehta Hai Mera Chahne Wala
Main Mom Hoon Us Ne Mujhe Chu kar Nahi Dekha,
Woh Mere Masail Ko Samjh Hi Nahi Sakta
Jis Ne Meri Aankhon Ka Samundar Nahi Dekha.
From:- Nishant Kumar