Karz teri jafaa kaa

Karz teri jafaa kaa main adaa kaise karun,
tu hi bataa tujhse main wafaa kaise karun…

Jab apnone hi lutaa hai jee bhar ke mujko,
main gairon se bhalaa gilaa kaise karun…

Tujh pe nisaar kiya thaa jism-o-jaan kabhi,
ab teri barbaadi kii main duaa kaise karun…

Kehte hain sab tujhe bhulaana hii munaasib hoga,
apne hi seeney se Dil ko judaa kaise karun…

Akele chalne ki aadat na rahii “Shine” ko ab,
safar zindagi ka tay tere binaa kaise karun…

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.