Tere husn ki taarif karte 2 kahin meri umar na bit jaye
Sambhaalo mujhko kahin mera damm na toot jaye
Koi kehta hai aashiq to koi deewana kehta hai,
Koi awaara to koi hame ek fasana kehta hai
Tu hi bata kya hoon main?isse pehle ki
meri khushi mujhse rooth jaye
Sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye..
Har leher samundr se puchhti hai thikana mera
Kahi aise me yaad na aajaye mujhe guzra zamana mera
Jis zamane me the hum khushi se gungunaye,
Sambhaalo mujhko kahin mera damm na toot jaye..
Ye aur baat hai mujhe tumhare siwa kuchh dikhta nahi
ye gaur talab hai ki mujhko tumhare siwa kuch soojta hi nahi..
Aaj tod do intiha isse pehle ki aaj hadd hi ho jaye
sambhalo mujhko kahin mera damm na toot jaye..!!!!