Tumhare Naam Karta Hu

From:- Indresh Tiwari

Mai Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hu,
Mai Iss Jeevan Har Ek Pal Tumhare Naam Karta Hu..!

Khazan Sardiya Garmi Bahare Shardiya,
Mai Har Mausam Ka Har Wo Pal Tumhare Naam Karta Hu..!

Mera Gujara Huaa Kal Tu Mera Mazi Ka Hissa Hai,
Mai Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hu..!

Tumhare Bin Yah Har Ek Pal Mujhe Bechain Rakhta Hai,
Mai Apna Dil Jo Bekal Tumhare Naam Karta Hu..!

Barasta Bigta Mausam Hai Kamjori Ashiq Ki Lekin,
Mai Sawan Ghata Badal Tumhare Naam Karta Hu..!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.