Bin tery raat to kya ham se kattey din bhi naheen,
Dil tujhey bhulna chaey to yeh mumkin hi naheen..!
Yeh alag baat k anjan hay muj se warna,
Dil ki dharkan na suney itna to woh kamsin naheen..!
Us se miltey hain to lot jata hay is dil ka karaar,
Kiya setam hay k hameen chain terey bin bhi nahin..!
Hay maseha to mere dil ka darmaan kar de,
Agar yeh mushkil hay to phir zakhm mere gin bhi nahin..!!
From:- Saba Sagar