From:- Saba Sagar
Apni dhun main rahta houn
Main bhi tere jaisa houn
Aur pichli rut k sathi
Ab k baras main tanha houn
Teri gali main sara din
Dukh k kankar chunta houn
Muj se aankh milae koun
Main tera aina houn
Mera deya jalae koun
Main tera khali kamra houn
Tere sewa mujhye pahne koun
Main tere tan ka kapra houn
Tue jewan ki bhari gali
Main jungal ka rasta houn
Ati rut mujhye roe gi
Jati rut ka jhonka houn
Apni lahir hay apna roog
Darya houn aur piyasa houn