Aaj Itna Baras

From:- Saba Sagar

Ae abr-e-karam aaj itna baras,
Itna baras k woh ja na sakeen..

Ghar aya hay ek mahman haseen,
Dar hay k chala na jaye kaheen..
Ham dil ki baat suna na sakeen..!

Kismat se kisi ko milti hai.
Yeh bhigi raat yeh tanhayi..
Phir kiyun na chupa leen Aankhon main,
Ham jalwoon ki yeh ranayi..!

Yeh kiya k zara si dair ko bhi,
Ham un k naaz utha na asakeen..!

Un sahmi sahmi aankhon main,
Hay rang abhi beganoon ka..
Yeh narm laboon ki khamoshi,
Ezhaar bhi hay armanoon ka..!

Kuch kahne ki bhi taab naheen,
Hontoon main bhi baat daba na sakeen..

Ae abr-e-karam aaj itna baras,
Itna baras k woh ja na sakeen !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.