Yeh Jewan Yunhi Beet Jaye Ga

Anginat sansoon ki uljhi hui zanjiroon main
Zindagi hai k jhakhrti hi chali jati hai…
Bujh k rahti bhi naheen aur bharakti bhi nahin,
Aag si hai k sulagti hi chali jati hai…
Waqt kisi janat mohom ka lalach dey kar,
Mujh ko maazii k jazeroon se utha laya hai..
Main inheen seam goun kirnoon main paroti hi rahi,
Mere bikhare huqe khawaboon ko chura laya
Zahen par jaise hoon betey huwe lamhoon k nakosh,
Jaise bhuli hui yadeen kisi afsane main,
Is tarha laa k yahan choor gaya hai koi
Jaise bhatka huwa rahi kisi veraane main,
Chalte chalte inhi anjaani guzargahoon main,
Dhierey dhire kabhi who waqt bhi aa jata hai
Kayenaat aik hi aansou main simat aati hai,
Zed pay aandhi ki diya kaamp raha ho jaise..
Thakh k afsurda o veraan guzargahoon main,
Aakhri ehid e wafa haanp raha ho jaise,
Aur ye aansou k palkoon se dhalakta bhi nahin,
Haye yeh sagar e labreez chalakta bhi nahin….
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.