From:- Samad
Labon pe phool khiltay hain kisi ke naam se pahle,
Dilon ke deep jalte hain charagh-e shaam se pahle..!
Kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahin pata,
Kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pahle..!
Yahi taare tumhaari aankh ki chilman mein rehte the,
Yahi sooraj nikalta thaa tumhare baam se pahle..!
Hui hai shaam jungle main parinde laut.te honge,
Ab in ko kis tarah rokain nawaah-e-daam se pahle..!
Ya saare rang murdaa the tumhaari shakl banne tak,
Ya saare harf muhmal the tumhaare naam se pahle..!
Huaa hai wo agar munsif tou Amjad ihtiyataN ham,
Sazaa tasleem karte hain kisi ilzam se pahle..!