Kya Karein

From:- Meri Tanhai (Nazia)

Bas gayi teri tasweer in aankhon mein kya karein,
Lekin juda hai hamari manzil kya karein…!

Yahi hai behtar ki tum bhool jao mujhe,
Dil mein na rahi ab koi hasrat kya karein…!

Wada kiya hum ne tumse mulaqaat ka magar,
Halaat se hum hogae majboor kya karein…!

Likhna hai haal-e-dil magar sochte hain hum,
Kagaz qalam hai hath mein tehreer kya karein…!

Tum to mujh se door bohat door hogaye sanam,
Dil ko lag gaya teri judai ka gham kya karein…!

Aankhon mein hai kayi khawab mere aye Dil-e-Naaz,
Mili nahi kisi khawab ko tabeer kya karein…!..!!.!!!!

Author: ShineMagic

1 thought on “Kya Karein

Leave a Reply

Your email address will not be published.