Use Bhulane Ki Baat Mat Kar

From:- Ahsan Jawaid

Muhabaton ke haseen fasanay ki baat mat kar,
Tu iss zamanay mein uss zamanay ki baat mat kar..!

Bharam jo qayam hai dosti ka rahe to behtar,
Tu meri maan isko aazmanay ki baat mat kar..!

Muhabaton k liye haqaiqt nhi badaltay,
Tu panioan mein diya jalanay ki baat mat kar..!

Qabuliyat ka ha konsa pal kisy khabar hai,
Mazaaq mein bhi ae yar janae ki baat mat kar..!

Tu aur jo bhi kahega main maan loon ga,
Bus iltija hai use bhulane ki baat mat kar..!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.