Afsoos

Guzar gai Namaz e Fajar or tu sota raha..
Qeemti waqt ko khuwabon main khota raha…

Subah namodaar hoi per tu bedaar na hua..
Umar bhar so ker bhi tu bezaar na hua…

Aai Zuhor to tujhay kaam ne uljha diya…
Be Namazi bana ker kitna tujhay phansa diya…

Milay ga Rizq tujhay Namaz k baad bhi…
Palay ga tera ghar Namaz k baad bhi…

Dekh aagai Namaz e Asar tawanai leker…
Quwwat hay iss main tu issay ada ker…

Tundrust hay aaj tu yeh Shukar ada ker…
Badan ko apne sajdon ki lazzat diya ker..

Chal diya aftab ab ghuroob honay ko..
Namaz e Maghrib hay ab Shuro honay ko..

Khatam hogaya teri zindagi ka aik or din..
Chala gaya yeh bhi haath se tere Nekiyon bin..

Ab tujhay chaiye rahat sonay se pehlay..
Eesha parh lay apni zindagi khonay se pehlay..

Paayga Sukoon tu KHUDA k zikr main hi..
Milay ga Qaraar tere dil ko isi fikar main hi…

Hay Namaz Farz keh Yeh ALLAH KA HUKUM HAY..
MUSTAFA(SALLALLAHU ALYHE WASALLAM) KI ANKHON KI THANDDAK HAY..

Naik logon k lie is kamai ki ujrat hay…
Or badkaron k lie “saheb” Hasrat o Nadamat hay..
From:- Saba Sagar

Author: ShineMagic

2 thoughts on “Afsoos

  1. Bijli, baadal, aab : August,
    Sau heelay, be-taab August.

    Zard hai dil ki shaakh toh kya ?
    Haraa-haraa shadaab August.

    Baadal, rang, ufuq, aawaaz,
    Khaabo’n ka girdaab August.

    Aakhir ek-din khoon se hi ,
    Likhh baithaa sailaab August !

    ‘Mayee-gazeeda’ shahro’n ka,
    Jangal-jangal khaab August

    irfan nizamani
    03363721861 for ghazals

Leave a Reply

Your email address will not be published.