Ye Internet Ki Duniya

From:-Vinod

E khuda tumne ye internet ki duniya hi kyon banayi,
Agar banayi to isse chat room se kyon sajayi.
Yahan sabhi tarah k log aate hai chat k liye,
Kisi ne dushmani to kisi ne sachche dil se dosti nibhayi.
Koi ek pal me aakar zindagi bhar ka dukh de gaya,
Koi vinod jaisa ek pal me aake zindagi k saare gum le gaya.
Har baar naye chehre se milaya hame,
Har baar kisi na kisi ne ek nayi baat batayi.
E khuda tumne ye internet ki duniya hi kyon banayi,
Agar banayi to isse chat room se kyon sajayi..!

Kuch time pass k liye to kuch boar nahi hona chahte,
To kuch apni haal-e-zindagi yahan hai bant-te.
Kitna ajeeb hai ye net ka connection bhi,
Har kisi ne yahan aakar chot hi khayi.
E khuda tumne ye internet ki duniya hi kyon banayi,
Agar banayi to isse chat room se kyon sajayi..!

Kuch apni sharton par dosti karte hai,
To kuch time pass k liye kisi par marte hai.
Kya zamana hai ab to apno par hi bharosa nahi,
Fir bhi sabhi ki duniya hai isme samayi.
E khuda tumne ye internet ki duniya hi kyon banayi,
Agar banayi to isse chat room se kyon sajayi.
Yahan sabhi tarah k log aate hai chat k liye,
Kisi ne dushmani to kisi ne sachche dil se vinod jaise dosti nibhayi.

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.