Zindagi To Anjan Ho Gai Thi

From:- Parvesh Singh

1) Zindagi To Anjan Ho Gai Thi,
Mayusion Se Ghir Ke Hairan Ho Gayi Thi..!
Achanak Dekha Har Taraf Khusian Hai,
Haan Tum Jaise Dost Se Pehchan Jo Ho Gayi Thi..!

2) Pyar Karnevale Paresan Ho Jate Hain,
Shadi Karnevale Sharabi Ho Jate Hain..!
Divorce Denevale Devdas Ho Jate Hai,
Ham Se Dosti Karnevale Msg Se Meharban Ho Jate Hai..!

3) Chand Ki Chandni Shayad Madhyam Pad Jaye,
Phulon Ki Khushbu Shayad Phiki Pad Jaye.
Par Hamari Dosti Mehekti Rahe,
Shayad Zindagi Ke Lamhe Kam Pad Jaye..!

4) Koi Hamein Aashiq Kahega,
Koi Hamein Deewana Kahega..!
Par In Aankhon Mein Aansu Tab Aayenge,
Jab Aap Jaisa Koi Dost Hamein Begana Kahega !!

5) Dosti Itni Karo Ki Usme Koi Nafrat Na Ho,
Bharosa Itna Karo Kiusme Koi Shaq Na Ho.
Intezar Itna Karo Ki Usme Koi Waqt Na Ho,
Pyar Itna Karo Ki Usme Koi Had Na Ho !!

6) Zindagi Ki Kasti Kab Lage Konse Kinare,
Kab Isse Milegi Manchahi Bahare..!
Jina To Padega Hi Kaise Bhi Pyare,
Kabhi Doston Ki Bhid Main,Kabhi Tanhai Ke Sahare..!

7) Dard Gairon Ko Sunane Ki Jarurat Kaya Hai,
Apne Saat Auron Ko Rulane Ki Jarurat Kaya Hai?
Waqt Yunhi Kam Hai Dosti Ke Liye,
Ruth Kar Waqt Gawane Ki Jarurat Kya Hai??

8) Guzre Hue Kal Ki Yaad Aati Hai,
Kuch Lamho Se Aankhen Bhar Aati Hai,
Woh Subah Rangeen Shaam Nirali Ho Jaati Hai,
Jab Aap Jaise Doston Ki Yaad Aati Hai…..!!

9) Ye Mausam Bhi Kitna Pyara Hai
Karti Ye Hawae Kuch Ishara Hai
Zara Samjho In Ke Jajbato Ko
Ye Keh Rahi Hai Kisi Dost Ne Dil Se Apko Pukara He !!

Author: ShineMagic

2 thoughts on “Zindagi To Anjan Ho Gai Thi

  1. Nikle hum duniya ki bhid mein to pata chala,
    Har wo shakhs tanha hai jisne pyar kiya .
    Hum Ne Liya Sirf Honton Se Jo Naam Tumhara,
    Dil Honton Se Ulajh Para K Yeh Sirf Mera Hai .
    Na jane kyu yeh raat udaas kar deti hai har roz ,
    Mehsos yu hota hai jaise bichad raha ho koi
    Dheere Dheere.
    Kaisa ajeeb rishta hai dil ka ,
    Dil aaj bhi dhoke mein hai or dhokebaaz aaj bhi
    dil mein .
    Use kehna apni kismat pe naaz karna acha nahi
    hota,
    Hum ne barish me bhi jalte huye ghar dekha
    hain.
    Humse khelti rahi duniya taash ke patton ki
    tarah ,
    Jisne jeeta usne bhi phenka Jisne haara usne bhi
    phenka.
    Karo Bade Shoq Se Mohabbat Ae Chahane Walo,
    Magar Soch Lena Kisi Kaam K Na Raho Ge
    Bicharne K Baad.
    Mujhe Khud Par Itna To Yaqeen Hai,
    Koi Mujhe Chor To Sakta Hai Magar Bhula Nahi
    Sakta.
    Jis phool ki parvarish hum ne apni mohabbat se
    ki ,
    Jab wo khushbu ke qabil hua to auro k liye
    mehkne laga.

Leave a Reply

Your email address will not be published.