Zulf Sad Shayari in Hindi

Ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to acha hai
Ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to acha hai..
Is raat ki takdeer sanwar jaaye to acha hai

Jis tarah se thodi si tere saath kati hai,
Baaki bhi usi tarah guzar jaaye to acha hai..

Duniya ki nigahon mein bhala kya hai bura kya,
Ye bojh agar dil se utar jaaye to acha hai..

Waise to tumhi ne mujhe barbaad kiya hai,
ilzaam kisi aur ke sar jaaye to acha hai..

Ye zulf agar khul ke bikhar jaaye to acha hai
Bikhar jaaye to acha hai
Bikhar jaaye to acha hai…

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.