From:- Indresh Tiwari
Apni soi hui dunya ko jaga loon to chaloon,
Apne gham_khaney mein ik dhoom macha loon to chaloon.!
Aur ik jaam-e-talkh churhaa loon to chaloon,
Abhi chalta hoon zara khud ko sambhaloon to chaloon..!
Jaane kab pi thi abhi tak hai may-e-gham ka khumaar,
Dhundlaa dhundlaa sa nazar aata hai jahan-e-bedaar,
Aandhiyan chalti hain dunya hui jati hai ghubaar,
Aankh to mall loon zara hosh mein aa loon to chaloon..!
Wo mera saahir wo ejaaz kahan hai laana,
Meri khoi hui aawaaz kahan hai laana,
Mera toota hua wo saaz kahan hai laana,
Ik zara geet bhi is saaz pe gaa loon to chaloon..!
Main thaka haraa tha itne mein jo aaye badal,
Kisi matvaale ne chupke se barhaa di botal
Uff wo rangeen pur-israar Khayaalon ke mahal,
Aise do char mahal aur bana loon to chaloon..!
Mujhse kuch kehne ko ai hai mere dil ki jallan,
kya kia main ne zamane mai nahi jis ka challan,
Ansoo tum ne to kai baar bhigoya daman,
Apne bheege huay daman ko sukhaloon to chaloon..!
Meri aankhon mein abhi tak hai muhabbat ka ghuroor,
Mere honton ko abhi tak hai sadaaqat ka ghuroor,
Mere maathe pe abhi tak hai sharaafat ka ghuroor,
Aise vehmon se bhi ab Khud ko nikaloon to chaloon..!