Gham Ki Barish

From:- Saba Sagar

Gham ki barish ne bhi,
Tere naksh ko dhoya naheen..!
Tue ne muj ko kho deya,
Main ne tuj ko khoya naheen..!

Neend ka halka gulabi sa khumaar,
Aankhon main tha..
Yun laga jaise woh shab ko,
Dair tak soya naheen..!

Har taraf dewaar wa dar,
Aur un main aankhon k hajum..
Kah sake jo dil ki halat,
Woh lab goya naheen..!

Jurm adam ne kiya aur,
Nasal aadam ko saza..
Kaat ta houn zindagi bhar,
Main ne jo boya naheen..!

Janta houn aik aise shakhs ko,
Main bhi “Muneer”..
Gham se pathar ho gaya,
Lekin kabhi roya naheen..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.