Ashkon ka Samandar Kyon Hai

From:- Pankaj Sharma

Aaj ke daur mein ae dost ye manzar kyoon hai,
Zakhm har sar pe har haath mein paththar kyoon hai..!

Jab haqeeqat hai ke har zarre mein tu rehta hai,
Fir zamin par kahin masjid kahin mandir kyoon hai..!

Apna anjaam to maaloom hai sabko phir bhi,
Apnee nazron mein har insaan sikandar kyoon hai..!

Zindagi jeene ke qaabil hi nahin ab ae dost,
Warna har aankh mein ashkon ka samandar kyoon hai..!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.