December Sad Shayari in Urdu

Koi jazba adhura reh geya hai,
December aansuon mein beh geya hai..

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Na jaane aaj woh kya keh geya hai..!

Yeh aankhein hai hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai..!

Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye ab yaad ke kya reh geya hai..!

Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai..!

Bohat bherr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.