Yaar Jo Bhi Mila Dil Jala Kar Gaya

Yaar jo bhi mila dil jala kar gaya,
Khaak main meri hasti mila kar gaya…

Pyaas jiski sada main bhujatha raha,
Zaher-E-Katil mujhe wo pila kar gaya…

Naaz uski wafa par mujhe tha magar,
Teer woh bhi jigar par chala kar gaya…

Doondta tha kabhi jo mujhe her gali,Aankh wo aaj mujhse bacha kar gaya.

Mangta tha sahara jo hardam mujhse,
Besahara mujhe wo bana kar gaya….

Neend aagosh main jiski aane lagi,
Maut ki neend mujhe wo sula kar gaya….

Aarzoo thi doston jiski mujhe,
Khawaab mere wahi to mita kar gaya….!…!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.