Saat Samundar Paar

From:- Nitendra Nittu

Saat samunder paar bhi teri yadoon ka manzar,
Kyoon rehta hai aankhoon mai bata de mast qalender..!

Soocha tha itni door teri yaadein nahi hogi,
Jab batein nahi hogi to faryadein nahi hogi..
Phir kyon tufan sa uthta hai is dil ke ander,
Saat samunder paar bhi teri yadoon ka manzar..!

Kyon rehta hai pehan kai,
Surkh joda tunein todi wafa ki rasmein..
Tu bhool gai sab wadein bhool gai sab qasmein,
Sakun to mila hoga uttar ke mere dil mai khajar..!
Saat samunder paar bhi teri yaadon ka manzer,
Kyon rehta hai…

Koi naa aaye rabba ab mere is dil mein,
Saaein na yaadein uski ab kisi mehfil mein..
Aabaad na hoo ab kabhi bhi ye dil mera banjar,
Saat samunder paar bhi teri yadoon ka manzar,
Kyon rehta hai.. !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.