Talissam

From:- Khurram Warsi

Ik dard la-dawa lay kar,
Main muddat say jee raha hun..
Dukhon ko daman main siyya or See raha hun..!

Barsoon pehlay haalaat kay bhanwar main dooba tha main,
Yeh soch kr us ko,,, Anaoon kay sapurd kiya tha..
Agr mera huva to zaroor lot aye gay..!

Uss kay intezar main ab umar bhi dhal janay ko,
Jawan chehry kay sabhi naqsh hain dhul janay ko..!

Na-janay kyun ab tak,
Ik bekar see umeed nay..
Mery dil pay talissam kar rakha hai,
Or meri in ankhon ko num kar rakha hai !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.