Main Kya Karti

From:- Indresh Tiwari

Qadam qadam pe naya marhala tha kya karti?
Tawiil hota gaya faasla main kya karti ?

Har aik shakhs ko tha zaum e rahbari kitna,
bhatak raha tha mera qaafla main kya karti?

Gham-e-hayat, gham-e-ishq aur gham-e-janaan,
Ulajh gaya tha har ik silsala main kya karti?

Tumharey sath kisee faisley ki fursat thi,
Tumharey baad bhala faisla main kya karti?

Buhat sambhaal k rakkha tha dil mein raaz tera,
Woh ban k ashk jo girnay laga main kya karti?

Mujhi se mangney aaya woh le ke Majhburi,
Ab uss se us ki jafaa ka gilaa main kya karti?

Woh aansuoon ki zubaan janta na tha meri,
Mujhe bayaan ka na tha hosla main kya karti?

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.