Jhoota Pyar

From:-Vinod
Thukra ke usne mujhko,
Kaha ki muskuraao!
Maine has diya,
Aakhir sawal uski khushi ka tha.
Maine khoya woh jo mera tha hi nahi,
Usne khoya wo jo sirf usi ka tha.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Dard me koi mousam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to pani se gujara nahi hota.
Koi dekhe to humari bebasi,
Hum sabhi k ho jate hain
Par koi humara nahi hota.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Mana ki tum jeete ho zamane k lye,
Ek bar jee k to dekho hamare liye.
Dil ki kya aukaat apke samne,
Hum to jaan bhi de denge apko pane ke liye
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Jo Tune Diya Usse Hum Yaad Karenge,
Har Pal Tere Milne Ki Faryaad karenge.
Chale Aana Jab Kabhi Khayal Aaye Mera,
Hum Roz Khuda se pehle Tujhe Yaad Karenge.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Kisi aur ki bahon mein rehkar
Woh humse wafa ki baat karte hain.
Yeh kaisi chahat hai yaaro,
Woh bewafa hain yeh jaankar bhi
Hum unhi se mohabbat karte hain.
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe
Jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe
Dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye
Jisse hum apna humsafar samajh beithe
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Ab toh gham sehne ki aadat si hogayi hai
Raat ko chhup chhup rone ki aadat si hogayi hai
Tu Bewafa hai….khel mere dil se ji bhar ke
Hamein toh ab chot khaane ki aadat si hogayi hai
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Kaash aasoun ke saath yaadein beh jati
Kaash ye khamosi sab kuch keh jat
Kaash kismat tumne likhi hoti to
Shayad meri kismat me pyar ki kami na rah jati
♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥<>♥<>♥♥

Aankho me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte.
Humari to rooh me bas gaye a Woh,
Tabhi to hum milne ki fariyad nahi karte

Author: ShineMagic

1 thought on “Jhoota Pyar

  1. “Pyari Maa”

    “Bachpan se lekar bhudape tak jab bhi chot lagti hai maa ko aawaaz lgata hai insaan”
    ”bure bah achhe samay main maa ko yaad krta hai insaan”
    “pyar to sabhi krte hain dosto pr maa ke pyar main pagal hai insaan”
    “maa ko dukhi kr khud dukhi hota hai insaan”
    “Tab bhi maa ko kyu rulata hai insaan”

Leave a Reply

Your email address will not be published.