Aaj Phir Dil Se

Aaj phir dil se ek awaaz aai hai,
is liye humne ye shayari bnai hai…!
Aapko bhulane ki koshish kaise karen hum,
nas nas mein teri yaad samaai hai…!

**************************************

Mere pyar mein khud ko rusba na kar,
yeh hai goongey bahro ka shahar…!
Jahan dil ki baat na samjey koi,
har kadam par milti hai naye thokar…!

**************************************

Kab toot jaaye kasam hi to hai,
kab badal jaaye nazar hi to hai,
Tu mere saath ki aadat mat daal,
kab bichad jaaye zindagi hi to hai.

**************************************

Puraani yaadon ko bulane ki koshish mein,
main ab har pal peeta hun…!
Kya kahun hosh mein rehna ab munasib nahi
isse main paani samajh kar jo peeta hun…!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.