Beautiful Ghazal in Hindi

Cherey parhti, aankhain likhti rehti hoon
Main bhi kaise batain likhti rehti hoon ?

Saray jism darakhtoon jaisi lagti hain
Aur bahoon ko shakhain likhti rehti hoon

Tujh ko khat likhnay ke taiwar bhool gayi
Aarhi tirchi satrain likhti rehti hoon

Tere hijr main aur mujhe kia kerna hai
Tere naam kitabain likhti rehti hoon

Tujh se mill ker saray dukh dohraoon gee
Hijr ki sari batain likhti rehti hoon

Sookhay phool, kitabain, zakham judai ke
Teri sab soghatain likhti rehti hoon

Un ki bheegi palkain hansti rehti hain
MOHSIN jab tuk GAZALEIN likhti rehti hoon..!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.