Ruka Hai Abhi

From:- Vinod

Khamosh palkon pe dariya ruka hai abhi,
Tumhare intezar mein ek lamha ruka hai abhi..!

Sadiyon ka faasla to tay kar liya hum ne,
Sirf do qadmon ka safar ruka hai abhi..!

Waqt ke sagar pe rawan ho tum ye jaan lo,
Tumhare pyar ke liye ek shaks ruka hai abhi..!

Aa jao ke zindagi tamaam na ho jaye meri,
Barey ehtamaam se maut ko taala hai abhi..!

Sadayein de de ke be-awaz na ho jaoon kahin main,
Aa jao laut ke ek jumla meri zuban pe ruka hai abhi…!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.