Safar Main Hon

From:- Saba Sagar

Phir kaise un ko koi kanara safar main ho,
Jen ko chata ne aap utara safar main ho..!

Yeh soch kar safar main rahe loog umr bhar,
Shayad k manzaloon ka eshara safar main ho..!

Manzel ki kaise koi sitara naweed de,
Kismat ka apni jabk sitara safar main ho..!

Haan kuch to rang_e_rah main takfef ho sake,
Haan koi hamsafar hi hamara safar main ho..!

Aasodgi ka saans bhi lene na paye the,
Manzel se phir kisi ne pokara’ safar main ho ?

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.