Mujhye Apne Zabt Pe Naaz Tha

From:- Saba Sagar

Mujhye apne zabat pe naaz tha,
Sar_e_bazm raat yeh kiya huwa..!

Meri aankh kaise chalak gayi,
Mujhye rang hay yeh bura huwa..!

Meri zindagi ke cherag ka,
Yeh andaaz koy naya naheen..!
Kabhi roshni kabhi tairgi,
Kabhi jala huwa kabhi bujha huwa..!

Mujhye jo bhi dushman_e_ jaan mila,
Wohi poukhta kaar wafa mila..
Na kisi ki zarb galat pari,
Na kisi ka teer khata huwa..!

Hameen itna bhi koy haq k,
Shareek_e_bazm hayaat hoon..
Na hamare paas naqab hai,
Na aasteen main kuch chupa huwa..!

Mujhye raaste main para huwa,
Kisi badnaseeb ka khat mila..
Kaheen khun_e_dil se likha huwa,
Kaheen aansuon se mitta huwa..!

Mujhye hamsafar bhi mila koi,
To shekasta haal thaka huwa..
Kaheen raastoon ka thaka ho,
Kaheen manzelon ka luta huwa..!!!

Author: ShineMagic

1 thought on “Mujhye Apne Zabt Pe Naaz Tha

Leave a Reply

Your email address will not be published.