From:- Ahsen Jawaid
Use kehna ye dunia hai!
Yahan har morr pe aese bahut se log milte hain!
Jo andar tak utarte hain!
Abad tak sath rehne ki!
Akathe dard sehne ki!
Hamesha baat karte hain!
Use kehna ye duniya hai!
Yahan har shaks matlab ki,
Hadon tak sath chalta hai!
Jonhi mosam badlta hai,
Mohabbat ke sabhi dawe..
Sabi qasmen,sabi wade..
Achanak tot jate hain..!
Usy kehna ye duniya hai !
Yahan har morr pe apni,
Sada ankhen khuli rakhna…
Usy kahna ye duniya hai !!!