From:- Nitendra Nittu
Jiske liye hamne khud ko badla, vo tasveer badal gai,
Jisko pakar naaz tha hamein haathon ki lakiron par,
Wo takdiir badal gai..!
Aisi kismet kisi ko na dena ae Khuda,
Meri nazron me teri taamir badal gai..
Jin aankhon se mohabbat thi hame, unki nazrein badal gai..!
Jis khuda par fakar tha hame, unki rehmat badal gai,
Jiske dil par haq tha hamara, unki hukumat badal gai..!
Jin raston par chala tha mai use pane,
Un raaston ki manzil badal gai..
Jin labon ko intezaar tha hamari shararat ka,
Unki muskurahat badal gai..!
Jinke hothon par tha hamari diwangi ka fasana unki baatein badal gai,
Thama tha jinhone hath umar bhar ke liye, vo hath badal gaye..!
Kiye the wade sath jiine marne ke vo kasme badal gai,
Jinke bina ik pal na kat tat ha vo rasme badal gai..!
Ab ye duniya tere rehne layak nahi Aashiq,
Badalte dekhe the log ab tak,
Par ab puri duniya badal gai..!!!