Rula Sako To Saath Do

From:- Sikandar Khan

Bada kathin hai ye rasta jo aa sako to saath do,
Ye zindgi ka fasla mita sako to saath do..!

Bade faraib khao gee bade sitam utao gee,
Ye umar bhar ka saath hai nibha sako to saath do..!

Jo tum kaho ye dil to kya main jaan b fida kar doon,
Jo main kahon bus ik nazar luta sako to saath do..!

Hazar imtihaan yahan hazar azmaeishen,
Hazar dukh” hazar gham utha sako to saath do..!

Main ik gareeb be-nava main ik fakeer be-sada,
Meri nazar ki iltija jo pa sako to saath do..!

Ye zindgi yahan khushi gamon k saath saath hai,
Rula sako to saath do” hansa sako to saath do !

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.