Kya paya maine is duniya ko paida kar ke…
Aaj meri hi izzat yaha sar-e-bazar lut rahi hai…
Agar mana hai bnane wale ne bhi aurat ko masiha…
To kio aaj aurat apni tmam dardo ko sah kar chup chap ghut rahi hai…
Ghar tak aaj aurat ke liye mahfoos na raha…
Nahi maan sakte to aurt ko devi kio kaha….
Pahle paida hi na hone di…
Jab paida hui to sabki hinta sahi…
Jwani aayi to bhediyo ki nazro ne khul ke jeene na diya…
Kahi shadi hogyi to dahej ke liye aurat ka jism jal gya…
Ye aina hai isko sab gaur se dekho…
Bas bhashan hi na do apni apni mat fenko…
Kuchh kar ke dikhana hoga…
Aurat ke liye lad ke dikhana hoga…