Sawan Ki Tara

From:- Saba Sagar

Aankh barsi hai tere naam pe sawan ki tara,
Jism sulga hai teri yaad main endhan ki tara..!

Loriyan de hain kisi qurb ki khawahish ne mujhye,
Kuch jawani k din bhi guzre hain bachpan ki tara..!

Is bulandi se mujhye tue ne nawaza kyun tha,
Gir k main tout gaya kanch k bartan ki tara..!

Muj se milte huwe yeh baat to sochi hoti,
Main tere dil main sama jaoun ga dharkan ki tara..!

Muntazir hai kisi makhsos si ahat k liye,
Zindagi bathi hai dahleez pe berhen ki tara !!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.