Tere Bagon Ki Thi Mai Nazuk Daali

Written By:- Hameeda Bibbo

Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale,
Kat kaar tune kyon mujhe alag kar daalee..!

Naye baag mein bhir mujhe lagaya gayaa,
Phir se sincha phir ugaayaa gayaa..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Phool phir mere bhi chaman mein khile,
Gul, gulshan, gulfaam banaayaa gayaa..
tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Shaakh meri bhi phir yun. Kaatee gayi,
Naye baag mein phir se use lagaaya gayaa..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Kaisi kismaat he kesee maj booree,
Mujhe maalee se door layaa gayaa..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Reet duniyaan ki ye puraani hein,
Nasaal age bhi jo chalaani hein..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Phool khil te hei kahin, or kahi sajayagaya ,
Ye hi duniyaan hei, yun hi ham bhi milte hei..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

Betiyaan pholoon jesi hei sabhi ki sunlo,
Apne babul se, door prdeas lejayaa gayaa..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!

(Bibbo) aaj roo rahi hai yaad mei unki tanha,
Jin ko aaj tak dil se na phulayaa gayaa..
Tere baggon ki thee mein ek nazuk dale..!!!

Author: ShineMagic

Leave a Reply

Your email address will not be published.